Free tools · bina login
Loom efficiency calculator
Shift mein kitne meter bune, pick, RPM aur ghante — loom ki asli efficiency, aur kitne meter haath se gaye.
Kaise kaam karta hai
Efficiency batati hai loom jitna bun sakta tha, uska kitna hissa sach mein buna:
Ban sakte the = RPM × 60 × ghante ÷ (PPI × 39.37)Efficiency % = bune hue meter ÷ ban sakte the × 100
Udaharan: 600 RPM, 50 pick, 12 ghante → 4,32,000 pick = 219.46 meter ban sakte the. Bune 180 meter → 82.02%. Yaani 39.46 meter — ek taka ka ek-tihai — har shift mein chhoot raha hai.
Efficiency girne ki aam wajah: tana ya vana toot, beam ya vana badalne mein der, karigar ke paas zyada loom, bijli, aur khaali loom jab agla beam taiyaar nahi. Har loom ka alag nikalo — ek kamzor loom poore unit ka average chhupa deta hai.
Loomiro mein Taka Entry ke meter se har loom ki 30 din ki efficiency loom page aur report mein apne aap, roz ke meter ke chart ke saath — kaunsa loom peeche hai ek nazar mein. Efficiency kaise badhaye guide padho.
Aur tools
Apne unit ko Loomiro pe laao.
Ek demo mein aapke hi unit ke number pe dikha denge ki kaise chalega — aur purane software ka backup ya Excel dekh ke bata denge kya-kya aa sakta hai.