Free formats · A4 PDF

Unit ke register — print karo, chalao.

Hajri, taka, beam card, karigar pagar aur delivery challan — Surat ke weaving unit jaise rakhte hain, waise hi khaane. Naam aur number bharo, paanchon PDF turant.

  • 5 format, A4, seedha print
  • Hinglish, English aur ગુજરાતી teeno mein
  • Hamesha free

Download ke liye detail

10 digit, WhatsApp wala ho toh best
lagbhag bhi chalega

Button dabane se aap Loomiro ko is number pe call / WhatsApp karne ki ijaazat dete ho. Aapka number sirf Loomiro ki baat ke liye — kisi ko diya ya becha nahi jaata.

Paanch format

Kaunse format milenge.

Karigar hajri register

Mahine bhar ki hajri, 1 se 31 tak har din ka khaana — P, A ya H. Neeche present, absent aur aadhe din ka total.

A4 PDF · aadi (landscape)

Form bharo, phir download

Taka production register

Roz ke bane taka: taka no., loom, shift, quality, beam, meter, weight aur karigar — ek line ek taka.

A4 PDF · aadi (landscape)

Form bharo, phir download

Beam card

Har beam ke saath latakne wala card: quality, taar, meter, denier, kab aur kis loom pe chadha, aur usse kate taka.

A4 PDF · khadi (portrait) · ek page pe 2

Form bharo, phir download

Karigar pagar sheet

Mahine ki pagar ek sheet pe: meter ya din, rate, kamai, advance, diya aur baaki — har karigar ki sahi ke saath.

A4 PDF · aadi (landscape)

Form bharo, phir download

Grey delivery challan

Maal bhejte waqt ka challan: party, GSTIN, broker, transport, gaadi no., e-way bill no., aur har taka ka meter aur weight.

A4 PDF · khadi (portrait)

Form bharo, phir download

Kaagaz se aage

Yahi register, bina kaagaz ke.

Loomiro mein hajri, taka entry, beam, karigar pagar aur challan ek hi jagah — mahine ke aakhir mein jodna nahi padta, sab apne aap.

Feature dekho →

Apne unit ko Loomiro pe laao.

Ek demo mein aapke hi unit ke number pe dikha denge ki kaise chalega — aur purane software ka backup ya Excel dekh ke bata denge kya-kya aa sakta hai.

Ya seedha WhatsApp pe baat karo →