loomiro

Loom efficiency calculatorFree

Shift mein kitne meter bune, pick, RPM aur ghante — loom ki asli efficiency, aur kitne meter haath se gaye.

Aapke number

taka entry se
shift ke

Result

Hisaab kaise bana

Yeh calculator andaaze ke liye hai — asli number apne yarn, loom aur bill se milao.

Kaise kaam karta hai

Efficiency batati hai loom ne jitna bun sakti thi uska kitna hissa sach mein buna:

Ban sakte the = RPM × 60 × ghante ÷ (PPI × 39.37)
Efficiency % = bune hue meter ÷ ban sakte the × 100

Udaharan: 600 RPM, 50 pick, 12 ghante → 4,32,000 pick = 219.46 meter ban sakte the. Bune 180 meter → 82.02%. Yaani 39.46 meter — ek taka ka ek-tihai — har shift mein chhoot raha hai.

Efficiency girne ki aam wajah: tana ya vana toot, beam ya vana badalne mein der, karigar ke paas zyada loom, bijli, aur khaali loom jab agla beam taiyaar nahi. Har loom ka alag nikalo — ek kamzor loom poore unit ka average chhupa deta hai.

Loomiro mein Taka Entry ke meter se har loom ki efficiency loom page aur report mein apne aap, 30 din ke chart ke saath — kaunsa loom peeche hai ek nazar mein. Efficiency kaise badhaye guide padho.

Guide padho →

Loomiro mein yeh apne aap

Roz yeh hisaab haath se? Loomiro rakh lega.

Taka entry, bhidan, mill, bill, byaaj aur costing — weaving unit ka poora software. Demo mein aapke hi number pe dikhayenge.

Aur tools