Internet ke bina · Phone pe · PWA

Internet gaya? Kaam nahi rukega.

Taka entry, bhidan aur kharcha bina internet ke chalte hain. Phone pe app ki tarah install karo, Hinglish ya English mein. Net aate hi sab apne aap sync — ek bhi entry double nahi.

Kya milega

Offline & Mobile mein 7 cheezein jo roz kaam aati hain.

01

Offline

Teen kaam bina net

Taka Entry, Bhidan aur Kharcha.

02

Safe

Entry device mein safe

Browser band ho, phone restart ho — entry bachi rehti hai.

03

Sync

Net aate hi upload

Apne aap server pe, aur ek bhi entry double nahi.

04

Taka no.

Har device ka number block

Har phone ko alag taka number block — do phone pe ek hi number kabhi nahi.

05

PWA

Phone pe app jaisa

Home screen pe Loomiro — bade button, number pad, ek haath se entry.

06

Bhasha

Hinglish ya English

Har user apni bhasha khud chune — munim Hinglish, CA English. English main screens pe hai: menu, dashboard, taka entry, bhidan, receipt / payment, kharcha; kuch reports aur GST screens pe abhi Hinglish bhi dikhta hai.

07

Logout

Chetavani

Bina sync entry ho toh logout se pehle batata hai.

Kaise chalta hai

Chaar kadam. Bas.

  1. 1

    Net gaya

    Entry karte raho — kuch alag nahi karna.

  2. 2

    Upar patti

    Kitni entry sync baaki hai, saaf dikhta hai.

  3. 3

    Net aaya

    Apne aap sync, ek-ek entry.

  4. 4

    Sab server pe

    Owner ke dashboard pe bhi turant.

Loom internet ka intezaar nahi karta. Loomiro bhi nahi.

Saath mein dekho

Apne unit ko Loomiro pe laao.

Ek demo mein aapke hi unit ke number pe dikha denge ki kaise chalega — aur purane software ka backup ya Excel dekh ke bata denge kya-kya aa sakta hai.

Ya seedha WhatsApp pe baat karo →