Weaving software · Surat

Surat ka weaving software — Surat mein bana, Surat ke liye.

Loomiro Surat mein bana weaving unit software hai, waterjet aur airjet units ke liye. Beam chadhne se paisa aane tak — taka, karigar pagar, grey ka sale bill, mill, GST aur party ka udhaar — ek software mein. Demo phone pe ya aapke unit pe aake.

₹999 mahina se · saal ka plan →

Kya kya hota hai

Kyun

Surat ka kaam, Surat ki zubaan

Taka, bhidan, pasar, vana, panno — wahi shabd jo aapke unit mein bole jaate hain. App Hinglish ya English mein, website aur videos Gujarati mein bhi.

Unit pe aake demo

Surat mein hain, toh demo phone pe ya aapke unit pe — aapke hi number pe, 20–30 minute.

Online, phir bhi bina net

Data online rehta hai — ghar se bhi dekh sakte ho. Floor pe net na ho toh bhi taka entry chalti hai.

Sawaal-jawaab

Surat mein weaving unit ke liye kaunsa software accha hai?

Jo software aapke unit ka production (taka, beam, loom) aur hisaab (bill, GST, pagar, udhaar) dono ek jagah rakhe, phone pe chale aur internet jaane pe na ruke. Loomiro Surat ke waterjet aur airjet units ke liye isi tarah bana hai.

Loomiro kahan ka hai?

Loomiro Surat ka hai, DCPL Technology Private Limited ne banaya hai.

Demo kaise milega?

Website pe demo book karo ya WhatsApp karo (99131 40434). Demo phone pe ya aapke unit pe.

Gujarati mein hai?

Website aur videos Gujarati mein bhi hain. App abhi Hinglish aur English mein hai.

Price?

Saal ka plan, loom ke hisaab se — 24 loom tak ₹999 mahina se. 15 din free trial.

Aage padho

Apne unit ko Loomiro pe laao.

Ek demo mein aapke hi unit ke number pe dikha denge ki kaise chalega — aur purane software ka backup ya Excel dekh ke bata denge kya-kya aa sakta hai.

Ya seedha WhatsApp pe baat karo →