loomiro

Loom production calculatorFree

RPM, pick, efficiency aur shift — ek loom kitne meter degi, shift, din aur mahine mein. Loom ki ginti daalo toh poore unit ka.

Aapke number

poore unit ke liye

Result

Hisaab kaise bana

Yeh calculator andaaze ke liye hai — asli number apne yarn, loom aur bill se milao.

Kaise kaam karta hai

Loom ek minute mein utne pick daalti hai jitni uski RPM. Har pick kapde ki ek line hai, aur 1 inch kapde mein PPI jitne pick. Isliye:

Meter = RPM × 60 × ghante × efficiency ÷ (PPI × 39.37)

39.37 = 1 meter mein inch. Efficiency woh hissa hai jitni der loom sach mein chali — toot, beam badalna, bijli jaana sab isi mein.

Udaharan: 600 RPM, 50 pick, 85%, 12 ghante ki shift → 600 × 60 × 12 × 0.85 = 3,67,200 pick → ÷ (50 × 39.37) = 186.54 meter per shift. Do shift = 373.08 m per din, 30 din = 11,192 m per mahina.

Asli efficiency jaanni hai? Loom efficiency calculator mein bune hue meter daalo. Loomiro ka loom page har loom ki efficiency RPM × shift ke ghante vs asli bune pick se nikalta hai, 30 din ke chart ke saath. Efficiency guide mein badhane ke tips.

Guide padho →

Loomiro mein yeh apne aap

Roz yeh hisaab haath se? Loomiro rakh lega.

Taka entry, bhidan, mill, bill, byaaj aur costing — weaving unit ka poora software. Demo mein aapke hi number pe dikhayenge.

Aur tools