Job rate calculator — paise per pick se ₹ per meterFree
Bhaav paise per pick mein ho, ₹ per lakh pick ya ₹ per meter mein — teeno mein badlo, aur ek loom roz kitna kamayegi.
Kaise kaam karta hai
Surat mein job work aur weaving ka bhaav aksar paise per pick mein bola jaata hai, kyunki zyada pick wali quality dheere banti hai — pick ke hisaab se bhaav dono quality ko barabar rakhta hai.
₹ per meter = PPI × paise ÷ 100 — jaise 50 pick × 22 paise = ₹11 per meter. Yahi tareeka Loomiro ke Costing mein "job bhaav paise / pick" (₹ / m ÷ PPI) ka hai.
Kuch jagah rate ₹ per lakh pick mein hota hai (karigar ki pagar mein aksar): 1 meter mein PPI × 39.37 pick, toh ₹ per meter = PPI × 39.37 × rate ÷ 1,00,000. 22 paise per pick = ₹558.80 per lakh pick.
Agar aapke yahan rate is tarah hota hai, toh calculator seedha chalega; basis alag ho toh party ya broker se ek baar pooch lo — "per pick" ka matlab har jagah ek nahi hota. Roz ki kamai = ₹ per meter × loom ke roz ke meter (RPM, efficiency aur shift se, jaise loom production mein).
Job ka bill aur GST? Grey aur job work GST guide padho.
Loomiro mein yeh apne aap
Roz yeh hisaab haath se? Loomiro rakh lega.
Taka entry, bhidan, mill, bill, byaaj aur costing — weaving unit ka poora software. Demo mein aapke hi number pe dikhayenge.