Sawal-jawab

Jo aap poochna chahte ho — seedha jawab.

Weaving unit wale jo sabse zyada poochte hain. Aur kuch poochna ho toh WhatsApp pe pooch lo.

Mera data safe hai? Backup ka kya?

Data ek computer pe nahi, Loomiro ke server pe rehta hai — computer kharab ho, chori ho jaaye ya pen drive kho jaaye, hisaab safe. Backup server pe apne aap hota hai. Har unit ka data alag rehta hai, har staff ka apna login aur apni permission, chahein toh staff sirf office network se login kare, aur purani entries ek date tak lock. Reports kabhi bhi Excel (CSV) mein nikaal sakte ho.

Internet ke bina chalega?

Haan. Taka Entry, Bhidan aur Kharcha bina internet ke chalte hain. Entry phone ya computer pe hi safe rehti hai — browser band ho ya phone restart, entry nahi jaati — aur net aate hi apne aap sync ho jaati hai, ek bhi entry double nahi. Bill, report aur hisaab ke liye internet chahiye. Offline & Mobile dekho.

Phone pe chalega ya computer pe?

Dono pe. Computer pe browser mein kholo — install ki zaroorat nahi. Phone pe ise app ki tarah home screen pe jod lo (PWA) — Play Store ya App Store pe alag app nahi hai. Floor pe phone se taka entry number pad se hoti hai, office mein keyboard se.

Waterjet aur airjet dono ke liye hai?

Haan. Taka, beam, bhidan, efficiency aur costing dono tarah ke loom pe ek jaise chalte hain — ek hi unit mein waterjet aur airjet dono loom ho toh bhi. Har loom alag master mein, aur har loom ki efficiency RPM × shift ke ghante vs asli bune pick se.

Ek unit mein kai firm chala sakte hain?

Haan. Loom, beam, taka aur stock ek, lekin har firm ka apna GSTIN, bill series, bank, print, kitaab aur GST return. F7 dabao, firm badlo; report chahiye toh sab firm milake. Kai Firm, Ek Unit dekho.

GST bill aur e-way bill ka kya?

Grey Sale bill mein CGST + SGST ya IGST party ke GSTIN se apne aap, HSN, round off aur amount in words. Job charge ka bill (SAC 998821), delivery challan, mill challan aur credit note bhi. GSTR-1 (B2B, CDNR, HSN) CSV, GSTR-3B summary aur ITC-04 CSV. E-way bill ka number, transport, LR aur gaadi no. bill pe chhapte hain, aur NIC portal pe bulk upload ke liye JSON milti hai. Abhi e-invoice (IRN) ya e-way bill seedha API se nahi bante — e-way bill portal pe banta hai. Sale & GST dekho.

Purane software se shift karna mushkil hai?

Nahi. Purane software ka backup do — party, quality, yarn, loom jaise masters aur opening balance / baaki bill hum le aate hain, aap zero se shuru nahi karte. Setup wizard mein firm → loom → yarn → quality → karigar → party, aur pehle din se dashboard pe aapka unit. Software badalne ki guide padho.

Munim ko purani keyboard aadat hai — chalega?

Haan. Har user apni keyboard style chunta hai: Standard, Style 1, Style 2, ya apna custom — koi bhi key badlo. Enter se agla field, Ctrl+K se kuch bhi dhundo, aur calculator ek key pe. Keyboard & Search dekho.

Staff ko kitna dikhe, yeh main tay kar sakta hoon?

Haan. Owner, manager, accountant, supervisor, sales, store, operator ya custom role — aur har role ki permission owner ki marzi se. Kis staff ko kaunsi firm dikhe, staff sirf office network se login kare, aur purani entries ek date ke baad badal na sake. Team, Lock & Import dekho.

Training aur support milega?

Haan. Demo aapke hi unit ke number pe, data import aur setup hum karte hain, aur staff ko chalana sikhate hain. Koi sawal ho toh WhatsApp pe pooch lo: +91 99131 40434.

Price kitna hai? Free trial hai?

Har unit ka ek fixed saalana price hai — chahe kitne bhi loom ya firm ho. Shuru mein 15 din free trial. Plan khatam ho jaaye toh bhi data dikhta hai, print aur export chalta hai — bas nayi entry band ho jaati hai. Price ke liye WhatsApp karein.

App kis bhasha mein hai?

App Hinglish aur English mein hai — har user Settings se apni bhasha chunta hai, munim Hinglish, CA English. English abhi menu aur roz ki main screens pe hai (dashboard, taka entry, bhidan, receipt / payment, kharcha); baaki screens Hinglish mein dikhti hain. Yeh website Gujarati mein bhi hai, lekin app ka Gujarati version abhi nahi hai.

WhatsApp pe poochho →

Apne unit ko Loomiro pe laao.

Purane software ka data hum le aayenge. Ek demo mein aapke hi unit ke number pe dikha denge ki kaise chalega.

Ya seedha WhatsApp pe baat karo →