Surat ke weaving unit mein karigar (weaver) ko teen tarah se pagaar milta hai: per meter, per lakh pick ya fixed mahina. Teeno sahi hain — bas har ek ka matlab, formula aur nuksaan pata hona chahiye. Is guide mein ek hi weaver ke number pe teeno ka hisaab dekhenge, phir upad (advance), kaat aur pagar sheet.
1. Per meter
Weaver ne jitne meter bune, utne meter × rate. Sabse seedha tareeka — taka ka meter sabko dikhta hai.
Mahina = roz × kaam ke din
Udaharan
Weaver 6 loom chalata hai, shift mein sab loom milake 1,100 meter bune. Rate ₹0.80 per meter (sirf udaharan), mahine mein 26 din.
- Roz: 1,100 × 0.80 = ₹880
- Mahina: 880 × 26 = ₹22,880
Fayda: samajhna aasaan, weaver ko meter badhane ka man hota hai. Nuksaan: zyada pick wali quality dheere banti hai, toh weaver ka meter ghatta hai — bina uski galti ke.
2. Per lakh pick
Yahan pagaar pick pe banta hai. 1 meter kapde mein PPI × 39.37 pick hote hain (1 meter = 39.37 inch).
Roz ka pagaar = pick ÷ 1,00,000 × ₹ per lakh pick
Barabar ka ₹ per meter = PPI × 39.37 × rate ÷ 1,00,000
Udaharan
Wahi 1,100 meter, quality 50 pick, rate ₹40 per lakh pick (sirf udaharan).
- Pick: 1,100 × 50 × 39.37 = 21,65,350 = 21.65 lakh
- Roz: 21.6535 × 40 = ₹866.14
- Yaani 50 pick pe yeh rate ₹0.79 per meter ke barabar hai
Ab loom pe 60 pick ki quality chadhi. Loom utne hi pick daalta hai, toh meter ghat ke 1,100 × 50 ÷ 60 = 916.67 m rahe. Per lakh pick pe pagaar wahi ₹866.14. Per meter ₹0.80 pe sirf ₹733.33 — weaver ka ₹146.67 roz ka nuksaan, jabki kaam utna hi kiya.
Fayda: har pick ki quality pe barabar. Nuksaan: weaver ko pick ka hisaab samjhana padta hai, aur PPI galat likha ho toh pagaar galat.
3. Fixed mahina
Har mahine tay rakam, meter se koi lena-dena nahi. Helper, jobber ya jahan production ke hisaab se rate tay karna mushkil ho, wahan chalta hai.
Udaharan
Fixed ₹18,000 mahina (sirf udaharan). Weaver mahine ki 11 tarikh ko juda, 30 din ke mahine mein 20 din kaam kiya: 18,000 × 20 ÷ 30 = ₹12,000.
Fayda: hisaab aasaan, weaver ko pakki kamai. Nuksaan: production badhane ka koi seedha faayda weaver ko nahi — efficiency pe nazar supervisor ko rakhni padti hai.
Apne number Karigar pagar calculator mein daalo — meter, lakh pick ya paise per pick, teeno basis wahan hain.
Upad (advance) aur kaat
Mahine ke beech upad dena aam baat hai. Bas har upad ki date, rakam aur kisne diya likho, aur pagaar ke din seedha ghatao:
Udaharan
Pichla baaki ₹1,200, is mahine ki kamai ₹22,880, do baar ₹2,500 upad. Dena baaki = 1,200 + 22,880 − 5,000 = ₹19,080.
Kaat (jaise damage ya bina bataye chhutti) ka niyam pehle se tay karo aur karigar ko batao. Har kaat alag line pe, wajah ke saath likho — rate chupke se kam karna sabse bada jhagda banta hai. Kaanoon ke hisaab se kya kaat sakte ho, yeh apne salahkar se pakka karo.
Aam galtiyaan
- Basis likha nahi. "Rate 40" — per lakh pick ya per meter? Joining ke din likh ke do.
- Rate badla, purana kaam naye rate pe. Rate jis date se badla, usse pehle ka kaam purane rate pe hi banna chahiye.
- Galat loom pe taka. Taka entry mein loom ya shift galat, toh meter doosre weaver ke khate mein.
- Upad diary mein, pagaar register mein. Do jagah likha toh mahine ke end mein milta nahi.
- Fent aur B grade chhodna. Kya fent ke meter pe bhi pagaar milega — yeh pehle tay karo.
Efficiency girne se meter-wale weaver ki kamai bhi girti hai; dono ka rishta loom efficiency guide mein dekho.
Loomiro mein
Karigar master mein har karigar ka basis — per meter, per lakh pick ya fixed mahina — aur rate ek baar. Rate badalna ho toh "is date se" naya rate; pehle ka kaam purane rate pe hi rehta hai. Weaver ki kamai Taka Entry se apne aap judti hai (loom aur shift ka pichla weaver khud aa jaata hai), lakh pick taka ke meter × quality ke pick × 39.37 se. Spreader ki kamai bhidan se, pasar aur dropper ki beam ke kaam se. Fixed pagaar mahine-mahine judta hai; adhoore mahine ka rate × din ÷ 30.
Pagar sheet mein period chuno: taka, meter, lakh pick, rate, pichla baaki, kamai, advance, diya aur dena baaki — ek line mein. Naam dabao toh poora khata dikhta hai. Upad, pagaar diya aur bonus ki entry wahin se, aur sheet print karke pagaar do.
Loomiro mein bonus / adjustment ki entry sirf jodne ke liye hai — kaat ki alag entry nahi hai. Aur lakh pick taka ke meter se nikalta hai, loom ke counter se nahi.