Order ke liye kitna yarn chahiye?Free
Order kitne meter ka hai aur quality kya hai — tana aur vana ka yarn kg mein, wastage ke saath, aur cone ka weight ho toh kitne cone.
Kaise kaam karta hai
Order ke yarn ka hisaab wahi hai jo kapde ke weight ka, bas 100 meter ki jagah poore order ke meter:
Tana kg = taar × denier × (1 + crimp%) × meter ÷ 90,00,000Vana kg = pick × panna × denier × meter ÷ 90,00,000
phir dono pe wastage %.
90,00,000 kyun? Denier 9,000 meter ka gram hai, aur gram se kg ke liye 1,000 — 9,000 × 1,000. Crimp ya WST isliye ki tana kapde mein seedha nahi, upar-neeche chalta hai, toh kapde ke 100 meter ke liye tana 100 se zyada lagta hai.
Udaharan: 5,000 meter, 8,200 × 60 den, 10% crimp, 50 pick × 65.5" × 150 den, 2% wastage → tana 306.68 kg aur vana 278.38 kg. 2.5 kg ke cone ho toh 123 aur 112 cone (upar ki taraf poore cone).
Count wala yarn ho toh pehle converter se denier nikalo. Yarn ka kharcha bhi chahiye? Fabric Costing kholo.
Loomiro mein yeh apne aap
Roz yeh hisaab haath se? Loomiro rakh lega.
Taka entry, bhidan, mill, bill, byaaj aur costing — weaving unit ka poora software. Demo mein aapke hi number pe dikhayenge.