loomiro

Mill shrinkage calculatorFree

Grey kitna bheja, finished kitna aaya — shrinkage %, kitne meter kam, aur aapke normal % se zyada kam ho toh kitne meter aur kitne ₹ ka nuksaan.

Aapke number

is quality ka
optional — nuksaan ₹ mein

Result

Hisaab kaise bana

Yeh calculator andaaze ke liye hai — asli number apne yarn, loom aur bill se milao.

Kaise kaam karta hai

Grey kapda process house (mill) mein dhulai, dyeing aur finishing ke baad thoda sikudta hai. Kitna sikudna normal hai, yeh quality pe depend karta hai — isliye apna normal % khud daalo.

Kam aaya = grey meter − finished meter
Shrinkage % = kam aaya ÷ grey meter × 100
Normal se zyada = kam aaya − grey × normal%

Udaharan: 10 taka × 117 m = 1,170 m grey bheja, 1,100 m finished aaya → 70 m kam, 5.98%. Normal 5% pe 58.5 m kam chalta, toh 11.5 m zyada gaya — ₹80 / m pe ₹920 ka nuksaan, sirf is ek lot mein.

Yahi chhota fark har mahine har mill pe judta hai. Loomiro ka Mill (RFD) challan aur shrinkage report mill / quality / lot wise grey vs finished dikhata hai, normal se zyada kam ka meter aur ₹ ke saath. Mill challan aur ITC-04 ke liye ITC-04 guide padho.

Guide padho →

Loomiro mein yeh apne aap

Roz yeh hisaab haath se? Loomiro rakh lega.

Taka entry, bhidan, mill, bill, byaaj aur costing — weaving unit ka poora software. Demo mein aapke hi number pe dikhayenge.

Aur tools