Job work mein yarn party ka hota hai — aapka kharcha "conversion" ka hai: kapda bunne ka. Isliye job ka bhaav yarn ke rate se nahi, aapke loom ke ek din ke kharche se banta hai. Wahi kharcha meter pe baanto, wastage aur munafa jodo, aur phir ₹ per meter ya paise per pick mein bolo.
Apna kharcha per meter
Pehle ek loom ka roz ka meter nikalo:
Phir har kharche ko ₹ per meter mein badlo:
- Pagaar: weaver ka rate per meter (ya per lakh pick ko meter mein badal ke) — Karigar pagar calculator.
- Bijli: kW × ghante × ₹ per unit ÷ roz ke meter — bijli guide.
- Overhead: bhaada, munim-supervisor-mechanic ki pagaar, spare, paani, chhote kharche — per loom per mahina ÷ din ÷ roz ke meter.
- Ghisaai (depreciation): loom aur machinery ki keemat dheere-dheere wasool karni hai. Har loom ka mahine ka ek hissa alag rakho.
- Beam ka kaam: bhidan, pasar, dropper — agar aapke kharche pe hai — beam ke kharche ÷ beam ke kapde ke meter.
- Baaki: mending, folding, packing, transport — per meter.
Udaharan
Quality 50 pick, loom 600 RPM, 85% efficiency, do shift 12 ghante ki. Roz ka meter: 600 × 60 × 24 × 0.85 ÷ (50 × 39.37) = 373.08 m. Neeche ke saare kharche sirf udaharan hain — apne unit ke number daalo.
| Kharcha | Hisaab | ₹ / meter |
|---|---|---|
| Pagaar | ₹0.80 per meter | 0.80 |
| Bijli | 2.5 kW × 24 × ₹8 = ₹480 ÷ 373.08 | 1.29 |
| Overhead | ₹9,000 / loom / mahina ÷ 30 = ₹300 ÷ 373.08 | 0.80 |
| Ghisaai | ₹12,000 / loom / mahina ÷ 30 = ₹400 ÷ 373.08 | 1.07 |
| Beam ka kaam | ₹1,200 per beam ÷ 6,000 m | 0.20 |
| Mending, folding | per meter | 0.10 |
| Kul kharcha | 4.26 |
- Wastage: 2% meter fent ya B grade mein jaata hai jiska poora bhaav nahi milta → 4.26 ÷ 0.98 = ₹4.35
- Munafa 15% (bhaav pe): 4.35 ÷ 0.85 = ₹5.12 per meter
- Paise per pick mein: 5.12 × 100 ÷ 50 = 10.24 paise — quote 10.5 paise per pick
- 10.5 paise pe: 50 × 10.5 ÷ 100 = ₹5.25 per meter, yaani ₹266.70 per lakh pick
- Ek loom ki kamai: 5.25 × 373.08 = ₹1,958.65 roz, 30 din mein lagbhag ₹58,759
Yahi conversion Job rate calculator mein karke dekho — paise per pick, ₹ per lakh pick aur ₹ per meter teeno saath.
Per meter ya per pick?
Bijli, overhead aur ghisaai samay ke kharche hain — loom ek din chale toh utne hi. Zyada pick wali quality pe roz ke meter ghat jaate hain, toh in kharchon ka per meter hissa badh jaata hai. Isliye Surat mein job ka bhaav aksar paise per pick mein bolte hain.
Udaharan
Wahi loom 60 pick pe: roz ke meter 373.08 × 50 ÷ 60 = 310.90 m. 10.5 paise per pick = 60 × 10.5 ÷ 100 = ₹6.30 per meter, aur roz ki kamai 6.30 × 310.90 = ₹1,958.67 — pehle jitni hi (fark sirf rounding ka). Agar ₹5.25 per meter fixed rakha hota toh roz sirf lagbhag ₹1,632.
Dhyaan do: "paise per pick" ka matlab yahan ₹ per meter = PPI × paise ÷ 100 hai. Har party ya broker isi tarah nahi ginta — basis ek baar likhit mein pakka karo.
Quote dene se pehle checklist
- Quality: reed, pick, panna, tana-vana denier — aur aapke loom pe yeh banegi ya nahi (waterjet vs airjet).
- Beam: kitne meter, kitne taar, kab aayega — beam ke intezaar mein khaali loom ka kharcha kaun uthayega?
- Bhidan, pasar aur dropper ka kharcha kiska.
- Vana yarn: kitna aayega, wastage kitna maana jaayega, bacha yarn wapas kaise.
- Fent, B grade, weight ya meter kam aaye toh kya niyam.
- Rate ka basis (per meter / per pick / per lakh pick) aur meter kaise naapa jaayega.
- Payment kitne din mein — der ka byaaj bhi kharcha hai (byaaj guide).
- Bill aur GST, TDS, aur ITC-04 — GST guide aur ITC-04 guide padho.
Aam galtiyaan
- Sirf pagaar aur bijli ginna. Overhead aur ghisaai chhode toh bhaav "theek" lagega aur saal ke end mein paisa nahi bachega.
- 100% efficiency pe meter ginna. Asli efficiency se roz ke meter lo — efficiency guide.
- Har pick ki quality pe ek hi ₹ per meter. Zyada pick pe nuksaan.
- Khaali loom bhoolna. Party ka beam der se aaya toh bhi bhaada aur pagaar chalte hain.
- Munafa kharche pe jodna, bhaav pe sochna. 4.35 pe 15% jodo toh ₹5.00 aata hai, lekin bhaav ka 15% munafa chahiye toh ₹5.12 chahiye.
Loomiro mein
Party ka beam Beam Stock mein source "Job" ke saath aata hai, aur uska vana yarn Job Party Stock mein — bacha yarn "Job yarn wapas" se lautta hai. Us beam ke taka se Job Work Bill banta hai, aur job work ka ITC-04 CSV mein. Costing mein bijli, pagaar, overhead, beam aur baaki kharche daalo — conversion ₹ per meter aur job bhaav paise per pick seedha dikhta hai. Ghisaai ko overhead mein jod do.
Is guide ke saare kharche, rate aur munafa sirf udaharan hain — bazaar ka bhaav nahi. Apne unit ke number se hisaab karo.